Posts for: #Poems

Zindagi toh chalti rahi

Toote hue dil  mein armaan the kuch jaaga, Kwaboon me ek duniya lia sajaaye, Umeed ke saayon me aashra doondte the kabhi.

Zindige toh chalti gayi.

Kwaab saare raaqh hue Armaan gaye kuchal, Dil tha choora choor.

Zindige bas chalti gayi

Na Jane kab beet gaye ghum bhare saaye Khwaabo ki barsaatein chigar uthai umeed ki nanhi kaliyaan Laut aya noor ,andhere is dil mein

Kya ajeeb hai reet is duniya ki, Zindagi phir bhi chalti rahi.

[Read more]

Rahein

Anjaani rahoon par chal pada, Duniya ke reet se lad pada. Kal ka tha ek ajeeb sa darr, Par dil se na mukar saka.

Manzil ki na fikr thi Jeet ka tha, matlab kuch aur

Zindagi ke shor me, Sanate ki talaash thi. Raat ke andheron me, Ek saaye ki aas thi.

Tanhai basi mehfilo mein,jahaan Yaar bhi bane anjaane yahaan

Umeed ke bal chalte hai, Kaaton bhari rah par. Khili hain kaliyaan nanhi si, Inhi ki mehek le, chalte chale

[Read more]

Aakri Din

Aankhon me kuch sapne sajake,

Dil me armaan jagaye,

Lia humne,pehla khadam -kabhi

aaj us zindagi ka hai aakri din

Waqt ke saath daud lagate,

hawaoo me udte khwaab jagaate

chale the kaanton par-kabhi

Aaj us zindagi ka hai, aakri din

hasi ki hum bazaar hote,

sab ki muskaan ki wajah hote,

dukh me sukh dhoondte hum,sabhi

aaj us zindagi ka hai,aakri din

Khel khel me bheet gaye

Sunehre pallo ke din,

[Read more]

सच

रात के अँधेरे में, उजाला देता चला

सूरज के रौशनी से, रातें सजाता चला|

हर लैला का आइना हूँ,

हर फनकार की माज़मुं हूँ|

बच्चों का मामा बना,

तन्हाई में सबका सहारा बना|

देखा सबने, रौशन चेहरा मेरा,

अँधेरे हिस्सों में छुपा है

गहरा सच मेरा|

Transliterated \n Aditya G

Raat ke andhero mein- ujala deeta chala,

Suraj ki roshni lia - raatein sajaata chala. 

Har laila ka aainaa huu

Har fankar ka mazmoon hu

[Read more]